ai musawwir surat-e-dil-gir khinch
ai musavvir sūrat-e-dil-gīr khīñch
le hamārā rañg bhar tasvīr khīñch
ġharq-e-sāġhar kar ḳhumār-e-zindagī
tā-ḳhat-e-bāda ḳhat-e-taqdīr khīñch
le chalī hai mujh ko sahrā kī kashish
chāra-gar le ab mirī zanjīr khīñch
khīñchtā huuñ dāman-e-dilbar ko maiñ
ai duā tū dāman-e-tāsīr khīñch
hai ye 'nātiq' jalva-e-husn-e-suḳhan
sher jab likkhe to ik tasvīr khīñch
ai musawwir surat-e-dil-gir khinch
le hamara rang bhar taswir khinch
gharq-e-saghar kar KHumar-e-zindagi
ta-KHat-e-baada KHat-e-taqdir khinch
le chali hai mujh ko sahra ki kashish
chaara-gar le ab meri zanjir khinch
khinchta hun daman-e-dilbar ko main
ai dua tu daman-e-tasir khinch
hai ye 'natiq' jalwa-e-husn-e-suKHan
sher jab likkhe to ek taswir khinch
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.