ai naseho na aur koi guftugu karo
ai nāseho na aur koī guftugū karo
gar ho sake to chāk-e-garebāñ rafū karo
hotī nahīñ hai yūñhī adā ye namāz-e-ishq
yaañ shart hai ki apne lahū se vuzū karo
phir jis tarah bhī chāho karo ham pe tabsira
pahle hamārī tarah se jiine kī ḳhū karo
phir koī le gayā hai charāġhoñ kī raushnī
tā-sub.h aaj apne jigar ko lahū karo
vo to nahīñ ye us kā hī ham-shakl hai koī
ab us kī chal ke aur kahīñ justujū karo
aaj us hasīñ se mil ke ajab kaifiyat meñ huuñ
koī raqīb ho to mire rū-ba-rū karo
ai naseho na aur koi guftugu karo
gar ho sake to chaak-e-gareban rafu karo
hoti nahin hai yunhi ada ye namaz-e-ishq
yan shart hai ki apne lahu se wuzu karo
phir jis tarah bhi chaho karo hum pe tabsira
pahle hamari tarah se jine ki KHu karo
phir koi le gaya hai charaghon ki raushni
ta-subh aaj apne jigar ko lahu karo
wo to nahin ye us ka hi ham-shakl hai koi
ab us ki chal ke aur kahin justuju karo
aaj us hasin se mil ke ajab kaifiyat mein hun
koi raqib ho to mere ru-ba-ru karo
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 81)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.