ai nae daur koi KHwab naya le aana
ai na.e daur koī ḳhvāb nayā le aanā
Dūbnā hai mujhe sailāb nayā le aanā
koī ab sunñe ko tayyār nahīñ kohna sadā
shahr-āshob meñ mizrāb nayā le aanā
tīrgī itnī ki āñkhoñ kā bhī dam ghuTtā hai
ho sake to koī mahtāb nayā le aanā
is se pahle ki tumheñ jhiil koī kah uTThe
zehn kī naddī meñ girdāb nayā le aanā
ḳhud ko 'shahzād' jo ‘hajjāj’ banānā ho tumheñ
apnī tahrīr meñ eraab nayā le aanā
ai nae daur koi KHwab naya le aana
Dubna hai mujhe sailab naya le aana
koi ab sunne ko tayyar nahin kohna sada
shahr-ashob mein mizrab naya le aana
tirgi itni ki aankhon ka bhi dam ghuTta hai
ho sake to koi mahtab naya le aana
is se pahle ki tumhein jhil koi kah uTThe
zehn ki naddi mein girdab naya le aana
KHud ko 'shahzad' jo ‘hajjaj’ banana ho tumhein
apni tahrir mein erab naya le aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.