ai nang-e-ishq baz bhi aa aah aah se
ai nañg-e-ishq baaz bhī aa aah aah se
vo hashr-e-rañg rañg uThā jalva-gāh se
uTho ki dil ko tamkanat-e-ishq par hai zo.am
ulTo naqāb aag lagā do nigāh se
begāna-vār ishq kī manzil ko tai kiyā
bach kar chalā maiñ ḳhār-o-ḳhas-e-rasm-o-rāh se
vo ġham to de ki fursat-e-yak-lahza ho muhāl
sharminda ho rahā huuñ ġham-e-gāh-gāh se
us ko na ho sakī kahīñ āsūdgī nasīb
dil thaam kar uThā jo tirī bārgāh se
is bāryāb-e-husn kī uftādgī na pūchh
jo gir gayā nigāh meñ rah kar nigāh se
ai nang-e-ishq baz bhi aa aah aah se
wo hashr-e-rang rang uTha jalwa-gah se
uTho ki dil ko tamkanat-e-ishq par hai zoam
ulTo naqab aag laga do nigah se
begana-war ishq ki manzil ko tai kiya
bach kar chala main KHar-o-KHas-e-rasm-o-rah se
wo gham to de ki fursat-e-yak-lahza ho muhaal
sharminda ho raha hun gham-e-gah-gah se
us ko na ho saki kahin aasudgi nasib
dil tham kar uTha jo teri bargah se
is baryab-e-husn ki uftadgi na puchh
jo gir gaya nigah mein rah kar nigah se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.