ai naqsh-garo lauh-e-tahrir hamein de do
ai naqsh-garo lauh-e-tahrīr hameñ de do
ham apne musavvir haiñ tasvīr hameñ de do
āġhosh-e-kamāñ ab tak afkār kā ḳhālī hai
tum apnī nigāhoñ ke kuchh tiir hameñ de do
kyā tol rahe ho tum hāthoñ meñ ḳhirad-mando
zevar ye junūñ kā hai zanjīr hameñ de do
ai ḳhālī kaToroñ ke be-kaif nigahbānoñ
mai-ḳhāna hamārī hai jāgīr hameñ de do
tum to na jhukā paa.e gardan dil-e-sarkash kī
ai ahl-e-sitam laao shamshīr hameñ de do
āshufta lakīreñ haiñ tahrīr kī nau-mashqī
likh leñge hamīñ lauh-e-taqdīr hameñ de do
ai naqsh-garo lauh-e-tahrir hamein de do
hum apne musawwir hain taswir hamein de do
aaghosh-e-kaman ab tak afkar ka KHali hai
tum apni nigahon ke kuchh tir hamein de do
kya tol rahe ho tum hathon mein KHirad-mando
zewar ye junun ka hai zanjir hamein de do
ai KHali kaToron ke be-kaif nigahbanon
mai-KHana hamari hai jagir hamein de do
tum to na jhuka pae gardan dil-e-sarkash ki
ai ahl-e-sitam lao shamshir hamein de do
aashufta lakiren hain tahrir ki nau-mashqi
likh lenge hamin lauh-e-taqdir hamein de do
- Book : Kalam-e-aizaz afzal (Pg. 78)
- Author : Aizaz Afzal
- Publication : Usmania Book Depot
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.