ai nigar-e-zindagi tujhko kahan DhunDha nahin
ai nigār-e-zindagī tujh ko kahāñ DhūñDhā nahīñ
ab ye aalam hai ki apnā bhī pata miltā nahīñ
yuuñ asīr-e-dard-e-paiham ho chukī hai zindagī
jis ko apnā kah sakūñ aisā koī lamha nahīñ
chand lamhoñ ko milī thī kal mujhe zulfoñ kī chhāñv
reg-zār-e-zīst meñ ab duur tak saaya nahīñ
mas.ala tanhā.ī kā hal kar diyā is daur ne
itne ġham haiñ zindagī meñ aadmī tanhā nahīñ
is meñ saḳhtī bhī sahī narmī bhī hiddat bhī sahī
dil magar patthar nahīñ shabnam nahīñ sho.ala nahīñ
vārdāt-e-yūrish-e-ġham kis jagah hogī raqam
ab kitāb-e-zīst kā koī varaq saadā nahīñ
ġhair hone par bhī us ke dil meñ hai kitnā ḳhulūs
kis zabāñ se maiñ kahūñ vo aadmī apnā nahīñ
haa.e vo ik aarzū jo dil meñ ghuT kar mar ga.ī
haa.e vo aañsū jo merī aañkh se Tapkā nahīñ
is tarah uljhā huā hai apne ġham meñ aadmī
dūsroñ ke dard kā kuchh us ko andāza nahīñ
dekh kar us ko na jaane kis kī yaad aane lagī
parda-e-taḳh.ēl par aisā koī chehrā nahīñ
vo jo qātil thā vahī 'mehdī' masīhā ban gayā
aisī dohrī shaḳhsiyat kā aadmī dekhā nahīñ
ai nigar-e-zindagi tujh ko kahan DhunDha nahin
ab ye aalam hai ki apna bhi pata milta nahin
yun asir-e-dard-e-paiham ho chuki hai zindagi
jis ko apna kah sakun aisa koi lamha nahin
chand lamhon ko mili thi kal mujhe zulfon ki chhanw
reg-zar-e-zist mein ab dur tak saya nahin
masala tanhai ka hal kar diya is daur ne
itne gham hain zindagi mein aadmi tanha nahin
is mein saKHti bhi sahi narmi bhi hiddat bhi sahi
dil magar patthar nahin shabnam nahin shoala nahin
wardat-e-yurish-e-gham kis jagah hogi raqam
ab kitab-e-zist ka koi waraq sada nahin
ghair hone par bhi us ke dil mein hai kitna KHulus
kis zaban se main kahun wo aadmi apna nahin
hae wo ek aarzu jo dil mein ghuT kar mar gai
hae wo aansu jo meri aankh se Tapka nahin
is tarah uljha hua hai apne gham mein aadmi
dusron ke dard ka kuchh us ko andaza nahin
dekh kar us ko na jaane kis ki yaad aane lagi
parda-e-taKHeel par aisa koi chehra nahin
wo jo qatil tha wahi 'mehdi' masiha ban gaya
aisi dohri shaKHsiyat ka aadmi dekha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.