ai qalamkar mere harf-e-sadaqat likhna
ai qalamkār mire harf-e-sadāqat likhnā
varna be-kār hai mazmūn-e-balāġhat likhnā
adl biktā hai jahāñ sikkoñ kī jhankāroñ meñ
mustahab un pe nazar aatā hai la.anat likhnā
daur-e-hāzir meñ hai anqā bashariyyat kā vajūd
sun muarriḳh tū ise daur-e-jahālat likhnā
ham ne dekhī hai jin āñkhoñ meñ sulagtī nafrat
kitnā mushkil hai un āñkhoñ meñ mohabbat likhnā
nik.hat-e-gul ke to āshiq haiñ sabhī 'mīnā' tum
bistar-e-ḳhār pe hañsne kī aziyyat likhnā
ai qalamkar mere harf-e-sadaqat likhna
warna be-kar hai mazmun-e-balaghat likhna
adl bikta hai jahan sikkon ki jhankaron mein
mustahab un pe nazar aata hai lanat likhna
daur-e-hazir mein hai anqa bashariyyat ka wajud
sun muarriKH tu ise daur-e-jahaalat likhna
hum ne dekhi hai jin aankhon mein sulagti nafrat
kitna mushkil hai un aankhon mein mohabbat likhna
nikhat-e-gul ke to aashiq hain sabhi 'mina' tum
bistar-e-KHar pe hansne ki aziyyat likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.