ai rabb-e-zul-jalal hai meri KHata buland
ai rabb-e-zul-jalāl hai merī ḳhatā buland
lekin ḳhatā se baḌh ke hai terī atā buland
āñkheñ jhukī huī haiñ saroñ par hijāb hai
kirdār munfarid hai jo ham ne rakhā buland
motī jhalak rahe haiñ jo shabnam ke oT se
phūloñ se gulsitāñ kī huī hai fazā buland
husn-o-jamāl chāñd sitāroñ kā tazkira
is dāstān-e-shoḳh meñ sab kuchh kahā buland
kis kā lahū fazāoñ meñ phailā hai har taraf
badlī se ho rahā hai jo rang-e-hinā buland
TuuTe hue diloñ ko ġhazal meñ sajā diyā
shīshagarī meñ 'chashma' hai us kī adā buland
ai rabb-e-zul-jalal hai meri KHata buland
lekin KHata se baDh ke hai teri ata buland
aankhen jhuki hui hain saron par hijab hai
kirdar munfarid hai jo hum ne rakha buland
moti jhalak rahe hain jo shabnam ke oT se
phulon se gulsitan ki hui hai faza buland
husn-o-jamal chand sitaron ka tazkira
is dastan-e-shoKH mein sab kuchh kaha buland
kis ka lahu fazaon mein phaila hai har taraf
badli se ho raha hai jo rang-e-hina buland
TuTe hue dilon ko ghazal mein saja diya
shishagari mein 'chashma' hai us ki ada buland
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.