ai rashk-e-gul-e-tar tu kabhi dekh idhar bhi
ai rashk-e-gul-e-tar tū kabhī dekh idhar bhī
kaafī hai mire dil pe tirī ek nazar bhī
ai jān-e-jahāñ terā pata ḳhaak lagā.eñ
jab ham ko mohabbat meñ nahīñ apnī ḳhabar bhī
ik umr se ham kushta-e-ālām-o-sitam haiñ
ho jaa.e kabhī ham pe ināyat kī nazar bhī
vo mil na sake ham ko kahīñ dasht-o-jabal meñ
DhūñDā hai unheñ ham ne sar-e-rāhguzar bhī
ham husn ke bande haiñ parastār-e-mohabbat
pā.eñge hameñ aap chale jaa.eñ jidhar bhī
go tishna-dahan muhr-ba-lab baiThe haiñ saaqī
ham bhī tire bande haiñ koī jaam idhar bhī
vo apnī jafāoñ pe pashemān hai 'rahbar'
ma.asūm sī āñkhoñ meñ hai shabnam bhī sharar bhī
ai rashk-e-gul-e-tar tu kabhi dekh idhar bhi
kafi hai mere dil pe teri ek nazar bhi
ai jaan-e-jahan tera pata KHak lagaen
jab hum ko mohabbat mein nahin apni KHabar bhi
ek umr se hum kushta-e-alam-o-sitam hain
ho jae kabhi hum pe inayat ki nazar bhi
wo mil na sake hum ko kahin dasht-o-jabal mein
DhunDa hai unhen hum ne sar-e-rahguzar bhi
hum husn ke bande hain parastar-e-mohabbat
paenge hamein aap chale jaen jidhar bhi
go tishna-dahan muhr-ba-lab baiThe hain saqi
hum bhi tere bande hain koi jam idhar bhi
wo apni jafaon pe pasheman hai 'rahbar'
masum si aankhon mein hai shabnam bhi sharar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.