ai saqi-e-KHush-kaam tera nam bahut hai
ai sāqī-e-ḳhush-kām tirā naam bahut hai
mad.hosh banāne ko yahī jaam bahut hai
ik pal bhī ġham-e-ishq se fursat nahīñ hāsil
ai gardish-e-ayyām abhī kaam bahut hai
pī jaa.eñ nigāhoñ se jo mil jaa.e nazar se
rindoñ ke liye bāda-e-be-jām bahut hai
badlegī havā ruḳh to ye Dhal jā.egā āḳhir
jis sāya-e-dīvār meñ ārām bahut hai
āsāñ bhī nahīñ rāh-e-vafā chal bhī paḌe haiñ
luTne kā bhī sāmān bahar-gām bahut hai
dekhe to koī un kā ye andāz-e-taḳhātub
ḳhāmosh nigāhoñ meñ bhī paiġhām bahut hai
us dil kā muqaddar hai 'rishī' rashk ke qābil
duniyā-e-mohabbat meñ jo badnām bahut hai
ai saqi-e-KHush-kaam tera nam bahut hai
madhosh banane ko yahi jam bahut hai
ek pal bhi gham-e-ishq se fursat nahin hasil
ai gardish-e-ayyam abhi kaam bahut hai
pi jaen nigahon se jo mil jae nazar se
rindon ke liye baada-e-be-jam bahut hai
badlegi hawa ruKH to ye Dhal jaega aaKHir
jis saya-e-diwar mein aaram bahut hai
aasan bhi nahin rah-e-wafa chal bhi paDe hain
luTne ka bhi saman bahar-gam bahut hai
dekhe to koi un ka ye andaz-e-taKHatub
KHamosh nigahon mein bhi paigham bahut hai
us dil ka muqaddar hai 'rishi' rashk ke qabil
duniya-e-mohabbat mein jo badnam bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.