ai sail-e-ab Thahar ab ke gardanon tak rah
ai sail-e-āb Thahar ab ke gardanoñ tak rah
tanoñ kī taḳhtiyāñ dhonī haiñ bas tanoñ tak rah
jahāñ hai shahr vahāñ duur tak darinde haiñ
ġhazal, ġhazāl ke hoñToñ pe aa banoñ tak rah
galī meñ taak meñ baiThe haiñ tifl-e-sañg-ba-dast
ai merī ḳhvāhish-e-ayyār āñganoñ tak rah
bahut se kaam haiñ jin se nipaTnā baaqī hai
visāl-rut to baḌī shai hai sāvanoñ tak rah
havā meñ tiir chalāne se fā.eda 'jāved'
tirī jab āñkheñ khulī haiñ to dushmanoñ tak rah
ai sail-e-ab Thahar ab ke gardanon tak rah
tanon ki taKHtiyan dhoni hain bas tanon tak rah
jahan hai shahr wahan dur tak darinde hain
ghazal, ghazal ke honTon pe aa banon tak rah
gali mein tak mein baiThe hain tifl-e-sang-ba-dast
ai meri KHwahish-e-ayyar aanganon tak rah
bahut se kaam hain jin se nipaTna baqi hai
visal-rut to baDi shai hai sawanon tak rah
hawa mein tir chalane se faeda 'jawed'
teri jab aankhen khuli hain to dushmanon tak rah
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 233)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.