ai sanam tujh birah mein rota hun
ai sanam tujh birah meñ rotā huuñ
ashk-e-ḳhūnīñ siiñ muñh kuuñ dhotā huuñ
bandagī meñ mujhe qubūl karo
maiñ tumhārā ġhulām hotā huuñ
bārish-e-āb-e-ashk hai darkār
dāġh-e-hijrāñ ke biij botā huuñ
boltā huuñ jo vo bulātā hai
tan ke piñjre meñ us kā totā huuñ
mat kaho mujh siiñ qissa-e-farhād
ḳhvāb-e-shīrīñ meñ aaj sotā huuñ
gauhar-e-ashk kuuñ misāl-e-'sirāj'
rishta-e-āh meñ pirotā huuñ
ai sanam tujh birah mein rota hun
ashk-e-KHunin sin munh kun dhota hun
bandagi mein mujhe qubul karo
main tumhaara ghulam hota hun
barish-e-ab-e-ashk hai darkar
dagh-e-hijran ke bij bota hun
bolta hun jo wo bulata hai
tan ke pinjre mein us ka tota hun
mat kaho mujh sin qissa-e-farhad
KHwab-e-shirin mein aaj sota hun
gauhar-e-ashk kun misal-e-'siraj'
rishta-e-ah mein pirota hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.