ai sar-phiri hawa tujhe isko KHabar bhi hai
ai sar-phirī havā tujhe is kī ḳhabar bhī hai
tū jis taraf chalī hai udhar merā ghar bhī hai
dastār mujh se māñgne vaale nazar uThā
dastār hī nahīñ mire shāne pe sar bhī hai
zāhir meñ Thīk-Thāk hai har ek aadmī
andāz-e-guftugū meñ bikharne kā Dar bhī hai
terī hī ḳhushbuoñ se mahaktī hai rahguzar
terī taraf safar bhī tū hī ham-safar bhī hai
duniyā tirī 'ajīb hai mere ḳhudā jahāñ
jiine kī aarzū bhī hai marne kā Dar bhī hai
allāh se 'bashar' nahīñ chhuptā kisī kā haal
kyā hai hamāre dil meñ use ye ḳhabar bhī hai
ai sar-phiri hawa tujhe is ki KHabar bhi hai
tu jis taraf chali hai udhar mera ghar bhi hai
dastar mujh se mangne wale nazar uTha
dastar hi nahin mere shane pe sar bhi hai
zahir mein Thik-Thak hai har ek aadmi
andaz-e-guftugu mein bikharne ka Dar bhi hai
teri hi KHushbuon se mahakti hai rahguzar
teri taraf safar bhi tu hi ham-safar bhi hai
duniya teri 'ajib hai mere KHuda jahan
jine ki aarzu bhi hai marne ka Dar bhi hai
allah se 'bashar' nahin chhupta kisi ka haal
kya hai hamare dil mein use ye KHabar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.