ai sham-e-shahr-e-tamanna meri gawahi de
ai shām-e-shahr-e-tamanna mirī gavāhī de
maiñ kaise kaise na ujḌā mirī gavāhī de
tū mo'tabar hai zamāne kī har shahādat se
ai chāk-e-dast-e-zuleḳhā mirī gavāhī de
mire vujūd se inkār kar rahī hai ḳhaak
kahīñ to mahmil-e-lailā mirī gavāhī de
charāġh ban ke jalāyā gayā huuñ tūfāñ meñ
ai chashm-e-vus'at-e-sahrā mirī gavāhī de
kuchh is tarah se mohabbat meñ haal ho merā
tū mujh se pūchhe to duniyā mirī gavāhī de
ai sham-e-shahr-e-tamanna meri gawahi de
main kaise kaise na ujDa meri gawahi de
tu mo'tabar hai zamane ki har shahadat se
ai chaak-e-dast-e-zuleKHa meri gawahi de
mere wujud se inkar kar rahi hai KHak
kahin to mahmil-e-laila meri gawahi de
charagh ban ke jalaya gaya hun tufan mein
ai chashm-e-wus'at-e-sahra meri gawahi de
kuchh is tarah se mohabbat mein haal ho mera
tu mujh se puchhe to duniya meri gawahi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.