ai shahr-e-dil ai shahr-e-tamanna kahan hai tu
ai shahr-e-dil ai shahr-e-tamannā kahāñ hai tū
ham jī rahe haiñ hijr meñ tanhā kahāñ hai tū
samjhegā kaun mere ġham-o-yās kī ḳhalish
koī nahīñ hai merā masīhā kahāñ hai tū
rone hamārī ḳhaak pe kyoñ aa.egā koī
jab hai nahīñ koī bhī hamārā kahāñ hai tū
hoñgī nahīñ qubūl duā.eñ kisī kī aur
jaa.e kahīñ bichhā.e musallā kahāñ hai tū
maiñ tere dar ko chhoḌ ke kis āstāñ pe jā.ūñ
koī nahīñ hai merā sahārā kahāñ hai tū
ai shahr-e-dil ai shahr-e-tamanna kahan hai tu
hum ji rahe hain hijr mein tanha kahan hai tu
samjhega kaun mere gham-o-yas ki KHalish
koi nahin hai mera masiha kahan hai tu
rone hamari KHak pe kyon aaega koi
jab hai nahin koi bhi hamara kahan hai tu
hongi nahin qubul duaen kisi ki aur
jae kahin bichhae musalla kahan hai tu
main tere dar ko chhoD ke kis aastan pe jaun
koi nahin hai mera sahaara kahan hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.