ai shaiKH teri pand-o-nasihat se kya hua
ai shaiḳh terī pand-o-nasīhat se kyā huā
kambaḳht chhūTtā hai kahīñ dil lagā huā
sharm-o-hayā ko chhoḌiye burqā uThā.iye
kab tak rahegā chāñd gahan meñ diyā huā
māñgā thā bosa aap se le to nahīñ liyā
barham ho kyoñ batā.iye nuqsān kyā huā
da.avā hamāre dil pe butoñ ko hai kis liye
kyā un ke haath bai.a huā yā hibā huā
bosa zarūr leñge kisī roz dekhnā
lab pe hai un ke daañt hamārā lagā huā
o but tirī ḳhudā.ī kā qissa sunā.ūñgā
allāh se jo hashr ke din sāmnā huā
ham ne nigāh pher ke dekhā jo ġhair ko
'kaifī' ke dil se pūchhiye anjām kyā huā
ai shaiKH teri pand-o-nasihat se kya hua
kambaKHt chhuTta hai kahin dil laga hua
sharm-o-haya ko chhoDiye burqa uThaiye
kab tak rahega chand gahan mein diya hua
manga tha bosa aap se le to nahin liya
barham ho kyon bataiye nuqsan kya hua
dawa hamare dil pe buton ko hai kis liye
kya un ke hath baia hua ya hiba hua
bosa zarur lenge kisi roz dekhna
lab pe hai un ke dant hamara laga hua
o but teri KHudai ka qissa sunaunga
allah se jo hashr ke din samna hua
hum ne nigah pher ke dekha jo ghair ko
'kaifi' ke dil se puchhiye anjam kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.