ai sham-e-dil-afroz shab-e-tar-e-mohabbat
ai sham-e-dil-afroz shab-e-tār-e-mohabbat
baḳhshe hai yahī garmī-e-bāzār-e-mohabbat
karte haiñ abas mujh dil-e-bīmār kā darmāñ
vābasta mirī jaañ se hai āzār-e-mohabbat
ai lāla-ruḳhāñ un ke ta.iiñ daaġh na samjho
phūlā hai mire siine meñ gulzār-e-mohabbat
gar ham se chhupātā hai tū 'bedār' va-lekin
inkār hī terā hai ye iqrār-e-mohabbat
rahtā hai mirī jaan kahīñ ishq bhī pinhāñ
zāhir haiñ tirī shakl se āsār-e-mohabbat
ai sham-e-dil-afroz shab-e-tar-e-mohabbat
baKHshe hai yahi garmi-e-bazar-e-mohabbat
karte hain abas mujh dil-e-bimar ka darman
wabasta meri jaan se hai aazar-e-mohabbat
ai lala-ruKHan un ke tain dagh na samjho
phula hai mere sine mein gulzar-e-mohabbat
gar hum se chhupata hai tu 'bedar' wa-lekin
inkar hi tera hai ye iqrar-e-mohabbat
rahta hai meri jaan kahin ishq bhi pinhan
zahir hain teri shakl se aasar-e-mohabbat
- Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 101)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.