ai shauq-e-dil bhi ek muamma ajib hai
ai shauq-e-dil bhī ek muammā ajiib hai
sahrā ko āñdhiyoñ kī tamannā ajiib hai
maujoñ ke iztirāb ne dhaḌkā diyā thā dil
utre jo ham utar gayā dariyā ajiib hai
dushvār ho ga.ī hai ab apnī shanāḳht bhī
ā.īna kah rahā hai ki chehra ajiib hai
shāḳheñ jo mere sahn meñ haiñ un meñ phal na aa.e
ham saa.e kā daraḳht bhī kitnā ajiib hai
uThtī hai ik fasīl to girtī hai ik fasīl
'fāḳhir' ye chāhatoñ kā gharauñdā ajiib hai
ai shauq-e-dil bhi ek muamma ajib hai
sahra ko aandhiyon ki tamanna ajib hai
maujon ke iztirab ne dhaDka diya tha dil
utre jo hum utar gaya dariya ajib hai
dushwar ho gai hai ab apni shanaKHt bhi
aaina kah raha hai ki chehra ajib hai
shaKHen jo mere sahn mein hain un mein phal na aae
hum sae ka daraKHt bhi kitna ajib hai
uThti hai ek fasil to girti hai ek fasil
'faKHir' ye chahaton ka gharaunda ajib hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.