ai shoala-ruKH itna hai tera rang-e-badan surKH
ai shoala-ruKH itna hai tera rang-e-badan surKH
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
MORE BYMunshi Debi Parshad Sahar Badayuni
ai sho.ala-ruḳh itnā hai tirā rang-e-badan surḳh
pahne hai safed aur nazar aatī hai chikan surḳh
kyā tere shahīdoñ meñ huā ḳhuun lagā kar
kis vāste hai lāla-e-hamrā hama-tan surḳh
nīlam hai dharā huqqa-e-yāqūt meñ goyā
haiñ daañt siyah missī se paañ se hai dahan surḳh
qatroñ meñ araq ke hai ayaañ rang badan kā
dekhā na gayā aaj talak durr-e-adan surḳh
kyūñkar dil-e-ḳhūnī ko nigal jaa.eñ na gesū
hotā hai kahā karte haiñ sab saañp kā man surḳh
nāzuk to hai jism us kā magar rang hai lālīñ
vo dekh le jis ne ki na dekhā ho saman surḳh
zāhid tujhe gar surḳh-rū hone kī havas hai
kar detī hai chehre ko mai-e-nāb-e-kuhan surḳh
kushta maiñ huā huuñ tirī gul-pairahanī par
lāzim hai mirī laash ko deñ log kafan surḳh
mar kar bhī rahe ḳhuun ke ashk āñkhoñ se jaarī
ai 'sehr' milā hijr kī daulat se kafan surḳh
ai shoala-ruKH itna hai tera rang-e-badan surKH
pahne hai safed aur nazar aati hai chikan surKH
kya tere shahidon mein hua KHun laga kar
kis waste hai lala-e-hamra hama-tan surKH
nilam hai dhara huqqa-e-yaqut mein goya
hain dant siyah missi se pan se hai dahan surKH
qatron mein araq ke hai ayan rang badan ka
dekha na gaya aaj talak durr-e-adan surKH
kyunkar dil-e-KHuni ko nigal jaen na gesu
hota hai kaha karte hain sab sanp ka man surKH
nazuk to hai jism us ka magar rang hai lalin
wo dekh le jis ne ki na dekha ho saman surKH
zahid tujhe gar surKH-ru hone ki hawas hai
kar deti hai chehre ko mai-e-nab-e-kuhan surKH
kushta main hua hun teri gul-pairahani par
lazim hai meri lash ko den log kafan surKH
mar kar bhi rahe KHun ke ashk aankhon se jari
ai 'sehr' mila hijr ki daulat se kafan surKH
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.