ai sim-tan tujhe gul-pairahan kaha jae
ai sīm-tan tujhe gul-pairahan kahā jaa.e
ki āftāb kī pahlī kiran kahā jaa.e
hukūmateñ ki jahāñ shah-garoñ kā ġhalba ho
is eqtidār ko dār-o-rasan kahā jaa.e
aziyyatoñ kā sila hai mahak uThīñ galiyāñ
hamāre zaḳhm ko mushk-e-ḳhutan kahā jaa.e
jise chhuā hai na dekhā nigāh-e-bātin ne
use ḳhayāl gumāñ yā badan kahā jaa.e
ye raushnī kā nagar sub.h shaam kyā ma.anī
barahna tan ko jahāñ pairahan kahā jaa.e
hamāre ahd ke sayyād ham se chāheñge
ki qatl-gāh ko apnā chaman kahā jaa.e
lagā de aag jo ḳhāmosh ābgīnoñ meñ
use hamārā hī tarz-e-suḳhan kahā jaa.e
vo jin kā qad se bhī ūñchā anā kā paikar ho
vo chāhte haiñ unheñ anjuman kahā jaa.e
hazār rang nasīboñ meñ bāñdh laa.e jo
use jahāñ meñ magar kohkan kahā jaa.e
vo raushnī kī talab meñ vahāñ talak pahuñche
jahāñ pe dhuup ko sāya-fagan kahā jaa.e
bujhā ke rakh de jo jalte hue charāġhoñ ko
to kyā ise bhī havā kā suḳhan kahā jaa.e
mashaqqateñ jo ayaañ hoñ udaas āñkhoñ se
unheñ ḳhumār kaheñ yā thakan kahā jaa.e
nikhar gayā ho koī husn jab pasīne meñ
use to sub.h kī pahlī kiran kahā jaa.e
hujūm-e-fikr meñ dil ko lahū lahū kar leñ
ġhazal meñ tab kahīñ ramz-e-suḳhan kahā jaa.e
haqīqateñ ki jo dekhī haiñ kitnī āñkhoñ ne
'nazar' kaheñ to ise sū-e-zan kahā jaa.e
ai sim-tan tujhe gul-pairahan kaha jae
ki aaftab ki pahli kiran kaha jae
hukumaten ki jahan shah-garon ka ghalba ho
is eqtidar ko dar-o-rasan kaha jae
aziyyaton ka sila hai mahak uThin galiyan
hamare zaKHm ko mushk-e-KHutan kaha jae
jise chhua hai na dekha nigah-e-baatin ne
use KHayal guman ya badan kaha jae
ye raushni ka nagar subh sham kya mani
barahna tan ko jahan pairahan kaha jae
hamare ahd ke sayyaad hum se chahenge
ki qatl-gah ko apna chaman kaha jae
laga de aag jo KHamosh aabginon mein
use hamara hi tarz-e-suKHan kaha jae
wo jin ka qad se bhi uncha ana ka paikar ho
wo chahte hain unhen anjuman kaha jae
hazar rang nasibon mein bandh lae jo
use jahan mein magar kohkan kaha jae
wo raushni ki talab mein wahan talak pahunche
jahan pe dhup ko saya-fagan kaha jae
bujha ke rakh de jo jalte hue charaghon ko
to kya ise bhi hawa ka suKHan kaha jae
mashaqqaten jo ayan hon udas aankhon se
unhen KHumar kahen ya thakan kaha jae
nikhar gaya ho koi husn jab pasine mein
use to subh ki pahli kiran kaha jae
hujum-e-fikr mein dil ko lahu lahu kar len
ghazal mein tab kahin ramz-e-suKHan kaha jae
haqiqaten ki jo dekhi hain kitni aankhon ne
'nazar' kahen to ise su-e-zan kaha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.