ai sitamgar ai hawa-surat
ai sitamgār ai havā-sūrat
gāhe-gāhe hameñ dikhā sūrat
koī sūrat nahīñ hai ab mumkin
hai yahī ek mumkina sūrat
jaan meñ jaan aa.ī muddat ba.ad
jab nazar aa.ī āshnā sūrat
guftugū ġhair se rahī us kī
maiñ faqat dekhtā rahā sūrat
zehn-o-dil meñ samā.egī kaise
ye tasavvur se māvarā sūrat
parkoñ meñ dikhā.ī detī hai
ek se ek dilrubā sūrat
dekh letā hai aadmī sab kuchh
yaad hotī hai ā.ina-sūrat
dil meñ bhartī hai vasvase 'nāmī'
ye tumhārī ḳhafā-ḳhafā sūrat
ai sitamgar ai hawa-surat
gahe-gahe hamein dikha surat
koi surat nahin hai ab mumkin
hai yahi ek mumkina surat
jaan mein jaan aai muddat baad
jab nazar aai aashna surat
guftugu ghair se rahi us ki
main faqat dekhta raha surat
zehn-o-dil mein samaegi kaise
ye tasawwur se mawara surat
parkon mein dikhai deti hai
ek se ek dilruba surat
dekh leta hai aadmi sab kuchh
yaad hoti hai aaina-surat
dil mein bharti hai waswase 'nami'
ye tumhaari KHafa-KHafa surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.