ai sitamgar nahin dekha jata
ai sitamgar nahīñ dekhā jaatā
zaḳhm dil par nahīñ dekhā jaatā
ham se zāhid ko barābar apne
lab-e-kausar nahīñ dekhā jaatā
dasht kī jis meñ koī baat na ho
ham se vo ghar nahīñ dekhā jaatā
ham ne dekhā hī nahīñ jalva-e-yār
kaheñ kyūñ-kar nahīñ dekhā jaatā
dekhnā shauq-e-shahādat merā
mujh se ḳhanjar nahīñ dekhā jaatā
tuur par dekhne jaate haiñ 'kalīm'
dil ke andar nahīñ dekhā jaatā
ai sitamgar nahin dekha jata
zaKHm dil par nahin dekha jata
hum se zahid ko barabar apne
lab-e-kausar nahin dekha jata
dasht ki jis mein koi baat na ho
hum se wo ghar nahin dekha jata
hum ne dekha hi nahin jalwa-e-yar
kahen kyun-kar nahin dekha jata
dekhna shauq-e-shahadat mera
mujh se KHanjar nahin dekha jata
tur par dekhne jate hain 'kalim'
dil ke andar nahin dekha jata
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 230)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.