Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai suKHanwar tarah guman hun main

Sabir Shah Sabir

ai suKHanwar tarah guman hun main

Sabir Shah Sabir

MORE BYSabir Shah Sabir

    ai suḳhanvar tarah gumāñ huuñ maiñ

    faqat harf-e-rā.egāñ huuñ maiñ

    'aks jal bujh ga.e bujhā chehra

    aa.ine se uThā dhuāñ huuñ maiñ

    hai mayassar matā-e-tishna-labī

    ḳhushk dariyā pāsbāñ huuñ maiñ

    aag se bair dhuup bhī hai 'adū

    aur ik mom makāñ huuñ maiñ

    mushtarak ham meñ hijratoñ thakan

    titliyoñ mizāj-dāñ huuñ maiñ

    tajrbe ghanerī chhāñv liye

    ek kohna sā.ebāñ huuñ maiñ

    kab miTā de mujhe havā lakīr

    rāh-rau ret par nishāñ huuñ maiñ

    kal mirā vasf thā tarīq-e-sulūk

    aaj be-nām be-nishāñ huuñ maiñ

    shahr meñ harf-e-āshnā nahīñ

    faiz kyā lafz be-karāñ huuñ maiñ

    jo haqīqat the vo ga.e 'sābir'

    ek mauhūm dāstāñ huuñ maiñ

    ai suKHanwar tarah guman hun main

    ya faqat harf-e-raegan hun main

    'aks jal bujh gae bujha chehra

    aaine se uTha dhuan hun main

    hai mayassar mata-e-tishna-labi

    KHushk dariya ka pasban hun main

    aag se bair dhup bhi hai 'adu

    aur ek mom ka makan hun main

    mushtarak hum mein hijraton ki thakan

    titliyon ka mizaj-dan hun main

    tajrbe ki ghaneri chhanw liye

    ek kohna sa saeban hun main

    kab miTa de mujhe hawa ki lakir

    rah-rau ret par nishan hun main

    kal mera wasf tha tariq-e-suluk

    aaj be-nam be-nishan hun main

    shahr mein harf-e-ashna hi nahin

    faiz kya lafz be-karan hun main

    jo haqiqat the wo gae 'sabir'

    ek mauhum dastan hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now