ai umr-e-rawan garmi-e-raftar kahan tak
ai umr-e-ravāñ garmī-e-raftār kahāñ tak
gardish meñ raheñ sūrat-e-parkār kahāñ tak
paivand-e-junūñ zīnat-e-poshāk-e-ḳhirad ho
dāman tire yūsuf kā rahe taar kahāñ tak
dariyā ko milīñ bheñT meñ shahzādiyāñ lekin
badle meñ hameñ vādī-e-pur-ḳhār kahāñ tak
ab kashtī-e-jāñ paas ke sāhil se lagā deñ
siine pe saheñ vaqt kī patvār kahāñ tak
paimāna-e-dil diid se bhar jā.egā āḳhir
minnat-kash-e-sāqī rahe mai-ḳhvār kahāñ tak
darvesh ko darpesh jo amboh-e-sagāñ ho
ādāb-e-faqīrī hoñ asar-dār kahāñ tak
mashkīza vahī pyaas kā aalam bhī vahī hai
hai ishq meñ sahrā kā ye kirdār kahāñ tak
ai umr-e-rawan garmi-e-raftar kahan tak
gardish mein rahen surat-e-parkar kahan tak
paiwand-e-junun zinat-e-poshak-e-KHirad ho
daman tere yusuf ka rahe tar kahan tak
dariya ko milin bhenT mein shahzadiyan lekin
badle mein hamein wadi-e-pur-KHar kahan tak
ab kashti-e-jaan pas ke sahil se laga den
sine pe sahen waqt ki patwar kahan tak
paimana-e-dil did se bhar jaega aaKHir
minnat-kash-e-saqi rahe mai-KHwar kahan tak
darwesh ko darpesh jo amboh-e-sagan ho
aadab-e-faqiri hon asar-dar kahan tak
mashkiza wahi pyas ka aalam bhi wahi hai
hai ishq mein sahra ka ye kirdar kahan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.