ai waqt ham-qadam tere chalna na aa saka
ai vaqt ham-qadam tire chalnā na aa sakā
kyoñ mausamoñ ke saath badalnā na aa sakā
logoñ ne āsmāñ ke sitāroñ ko chhū liyā
ham ko rivāyatoñ se nikalnā na aa sakā
vo rahm kī nazar se hameñ dekhte hī kyoñ
dāman pakaḌ ke ham ko machalnā na aa sakā
ham apnī hājatoñ kī ġhulāmī meñ aa ga.e
zindāñ kī bandishoñ se nikalnā na aa sakā
vāqif the zindagī ke nasheb-o-farāz se
yuuñ halqa-e-ḳhudī se nikalnā na aa sakā
duniyā badal chukī hai ta.ayyush meñ zindagī
ham ko to ik nafas bhī badalnā na aa sakā
apnī nazar se gir ke sañbhal bhī ga.e to 'shād'
un kī nazar se gir ke sañbhalnā na aa sakā
ai waqt ham-qadam tere chalna na aa saka
kyon mausamon ke sath badalna na aa saka
logon ne aasman ke sitaron ko chhu liya
hum ko riwayaton se nikalna na aa saka
wo rahm ki nazar se hamein dekhte hi kyon
daman pakaD ke hum ko machalna na aa saka
hum apni hajaton ki ghulami mein aa gae
zindan ki bandishon se nikalna na aa saka
waqif the zindagi ke nasheb-o-faraaz se
yun halqa-e-KHudi se nikalna na aa saka
duniya badal chuki hai tayyush mein zindagi
hum ko to ek nafas bhi badalna na aa saka
apni nazar se gir ke sanbhal bhi gae to 'shad'
un ki nazar se gir ke sanbhalna na aa saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.