ai waqt teri aankh ka kajal rahe hain hum
ai vaqt terī aañkh kā kājal rahe haiñ ham
har ek mas.ale kā tire hal rahe haiñ ham
manzil kī justujū kā ye aalam to dekhiye
sahrā hai tez dhuup hai aur chal rahe haiñ ham
hāthoñ meñ aaj vaqt ne kashkol de diyā
nāzāñ haiñ ham ye soch ke kyā kal rahe haiñ ham
ashkoñ ne aur ātish-e-furqat ko dī havā
barsāt ho rahī hai magar jal rahe haiñ ham
anjān ban ke aaj jo guzrā qarīb se
barsoñ usī ke ishq meñ pāgal rahe haiñ ham
har daur ko lahū kā diyā ham ne hī ḳhirāj
is daur meñ bhī zīnat-e-maqtal rahe haiñ ham
haq-go haiñ haq-shanās haiñ aur haq-parast bhī
'sājid' isī vajah se bahut khal rahe haiñ ham
ai waqt teri aankh ka kajal rahe hain hum
har ek masale ka tere hal rahe hain hum
manzil ki justuju ka ye aalam to dekhiye
sahra hai tez dhup hai aur chal rahe hain hum
hathon mein aaj waqt ne kashkol de diya
nazan hain hum ye soch ke kya kal rahe hain hum
ashkon ne aur aatish-e-furqat ko di hawa
barsat ho rahi hai magar jal rahe hain hum
anjaan ban ke aaj jo guzra qarib se
barson usi ke ishq mein pagal rahe hain hum
har daur ko lahu ka diya hum ne hi KHiraj
is daur mein bhi zinat-e-maqtal rahe hain hum
haq-go hain haq-shanas hain aur haq-parast bhi
'sajid' isi wajah se bahut khal rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.