ai yar ab na dena koi mashwara mujhe
ai yaar ab na denā koī mashvara mujhe
maiñ dekhtā huuñ aa.ina aur aa.ina mujhe
kaise karūñ batā maiñ tirā shukriya adā
tere fareb ne diyā apnā pata mujhe
sāhil kī buzdilī to qadam roktī rahī
tūfāñ kā shukriya ki diyā hausla mujhe
hai chaar din kā husn tirā ai zamīñ ke chāñd
kahtā hai baar baar yahī aa.ina mujhe
vo aaj ek choT se bikhrā hai chaar sū
jo hañs rahā thā dekh ke kal ġham-zada mujhe
ḳhūn-e-jigar nichoḌ ke likhtā huuñ maiñ ġhazal
miltā hai jab bhī koī nayā qāfiya mujhe
maiñ hazrat-e-'navāz' kā dushman ġhalat ġhalat
badnām kar rahā hai koī be-vajah mujhe
ai yar ab na dena koi mashwara mujhe
main dekhta hun aaina aur aaina mujhe
kaise karun bata main tera shukriya ada
tere fareb ne diya apna pata mujhe
sahil ki buzdili to qadam rokti rahi
tufan ka shukriya ki diya hausla mujhe
hai chaar din ka husn tera ai zamin ke chand
kahta hai bar bar yahi aaina mujhe
wo aaj ek choT se bikhra hai chaar su
jo hans raha tha dekh ke kal gham-zada mujhe
KHun-e-jigar nichoD ke likhta hun main ghazal
milta hai jab bhi koi naya qafiya mujhe
main hazrat-e-'nawaz' ka dushman ghalat ghalat
badnam kar raha hai koi be-wajah mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.