ai yar-e-sitam-kesh-o-jafa-kar KHabar le
ai yār-e-sitam-kesh-o-jafā-kār ḳhabar le
martā hai tire 'ishq kā bīmār ḳhabar le
is tīr-e-jigar-doz se jaañ aa ga.ī lab par
mizhgāñ se tirī huuñ maiñ dil-e-afgār ḳhabar le
ḳhāliq se du'ā ye hai ki yā-rab kahīñ jaldī
vo parda-nashīñ yār-e-tarah-dār ḳhabar le
jald aa ke zarā dekh tū ai rashk-e-masīhā
jaatā hai 'adam ko tirā bīmār ḳhabar le
dushman mire sab dost hue 'ishq meñ tere
jab koī nahīñ mūnis-o-ġham-ḳhvār ḳhabar le
taqdīr par apnī na ho kis tarah mujhe naaz
hai jaa.e ta'ajjub ki vo dildār ḳhabar le
maiñ hijr meñ hairān-o-pareshāñ rahūñ kab tak
lillāh but-e-ā.īna-ruḳhsār ḳhabar le
ghūñghaT ko sanam bahr-e-ḳhudā ruḳh se uThā de
'sābir' hai tirā tālib-e-dīdār ḳhabar le
ai yar-e-sitam-kesh-o-jafa-kar KHabar le
marta hai tere 'ishq ka bimar KHabar le
is tir-e-jigar-doz se jaan aa gai lab par
mizhgan se teri hun main dil-e-afgar KHabar le
KHaliq se du'a ye hai ki ya-rab kahin jaldi
wo parda-nashin yar-e-tarah-dar KHabar le
jald aa ke zara dekh tu ai rashk-e-masiha
jata hai 'adam ko tera bimar KHabar le
dushman mere sab dost hue 'ishq mein tere
jab koi nahin munis-o-gham-KHwar KHabar le
taqdir par apni na ho kis tarah mujhe naz
hai jae ta'ajjub ki wo dildar KHabar le
main hijr mein hairan-o-pareshan rahun kab tak
lillah but-e-aina-ruKHsar KHabar le
ghunghaT ko sanam bahr-e-KHuda ruKH se uTha de
'sabir' hai tera talib-e-didar KHabar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.