ai yar nasihat ko agar gosh kare tu
ai yaar nasīhat ko agar gosh kare tū
ye taur-o-tarīq apne farāmosh kare tū
dīvāne siyāne hueñ sab dekh tujh añkhiyāñ
ik chashm kī gardish setī behosh kare tū
ai sarv-chamāñ aave agar merī baġhal meñ
jannat kā chaman ḳhāna-e-āġhosh kare tū
hūrāñ na kareñ ḳhuld ke gulbun kā nazārā
jab sīm-badan apne ko gul-posh kare tū
is 'fā.ez'-e-bechāre kī tab qadr pacchāne
ik jaam mohabbat kā agar nosh kare tū
ai yar nasihat ko agar gosh kare tu
ye taur-o-tariq apne faramosh kare tu
diwane siyane huen sab dekh tujh ankhiyan
ek chashm ki gardish seti behosh kare tu
ai sarw-chaman aawe agar meri baghal mein
jannat ka chaman KHana-e-aghosh kare tu
huran na karen KHuld ke gulbun ka nazara
jab sim-badan apne ko gul-posh kare tu
is 'faez'-e-bechaare ki tab qadr pacchane
ek jam mohabbat ka agar nosh kare tu
- Dewan-e-Faiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.