ai yaqinon ke KHuda shahr-e-guman kis ka hai
ai yaqīnoñ ke ḳhudā shahr-e-gumāñ kis kā hai
nuur terā hai charāġhoñ meñ dhuāñ kis kā hai
kyā ye mausam tire qānūn ke pāband nahīñ
mausam-e-gul meñ ye dastūr-e-ḳhizāñ kis kā hai
raakh ke shahr meñ ek ek se maiñ pūchhtā huuñ
ye jo mahfūz hai ab tak ye makāñ kis kā hai
mere māthe pe to ye daaġh nahīñ thā pahle
aaj ā.īñe meñ ubhrā jo nishāñ kis kā hai
vahī taptā huā sahrā vahī sūkhe hue hoñT
faisla kaun kare āb-e-ravāñ kis kā hai
chand rishtoñ ke khilaune haiñ jo ham khelte haiñ
varna sab jānte haiñ kaun yahāñ kis kā hai
ai yaqinon ke KHuda shahr-e-guman kis ka hai
nur tera hai charaghon mein dhuan kis ka hai
kya ye mausam tere qanun ke paband nahin
mausam-e-gul mein ye dastur-e-KHizan kis ka hai
rakh ke shahr mein ek ek se main puchhta hun
ye jo mahfuz hai ab tak ye makan kis ka hai
mere mathe pe to ye dagh nahin tha pahle
aaj aaine mein ubhra jo nishan kis ka hai
wahi tapta hua sahra wahi sukhe hue honT
faisla kaun kare aab-e-rawan kis ka hai
chand rishton ke khilaune hain jo hum khelte hain
warna sab jaante hain kaun yahan kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.