ai zulf-o-ruKH-e-yar teri shoabada-bazi
ai zulf-o-ruḳh-e-yār tirī sho.abada-bāzī
mahmūd sā fāteh bhī hai maftūh-e-ayāzī
le saktā huuñ maiñ apnī duāoñ se vahī kaam
shamshīr se jo kaam liyā karte haiñ ġhāzī
afrād kī hirs-o-havas aqvām pe chhā.ī
ab rang dikhā.egī na.ī zulm-tarāzī
sharminda-e-ma.anī na huā harf-e-mohabbat
bā-īñ-hama tafsīr-e-haqīqī-o-majāzī
man-māne na.e falsafe ghaḌ letā hai aadam
ruuhī kabhī māddī kabhī kashfī kabhī raazī
'dīvāna' kalām aap kā kyā koī sarā hai
gulzār jigar-soḳhtagī-o-qalb-gudāzī
ai zulf-o-ruKH-e-yar teri shoabada-bazi
mahmud sa fateh bhi hai maftuh-e-ayazi
le sakta hun main apni duaon se wahi kaam
shamshir se jo kaam liya karte hain ghazi
afrad ki hirs-o-hawas aqwam pe chhai
ab rang dikhaegi nai zulm-taraazi
sharminda-e-mani na hua harf-e-mohabbat
ba-in-hama tafsir-e-haqiqi-o-majazi
man-mane nae falsafe ghaD leta hai aadam
ruhi kabhi maddi kabhi kashfi kabhi raazi
'diwana' kalam aap ka kya koi sara hai
gulzar jigar-soKHtagi-o-qalb-gudazi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.