aib auron mein gin raha hai wo
aib auroñ meñ gin rahā hai vo
us ko lagtā hai yuuñ ḳhudā hai vo
merī tadbīr ko kināre rakh
merī taqdīr likh rahā hai vo
maiñ ne māñgā thā us se haq apnā
bas isī baat par ḳhafā hai vo
pattharoñ ke nagar meñ zinda hai
log kahte haiñ aa.ina hai vo
us kī vo ḳhāmushī batātī hai
mere dushman se jā milā hai vo
aib auron mein gin raha hai wo
us ko lagta hai yun KHuda hai wo
meri tadbir ko kinare rakh
meri taqdir likh raha hai wo
main ne manga tha us se haq apna
bas isi baat par KHafa hai wo
pattharon ke nagar mein zinda hai
log kahte hain aaina hai wo
us ki wo KHamushi batati hai
mere dushman se ja mila hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.