ain fitrat se pesh aate hain
ain fitrat se pesh aate haiñ
ya.anī chāhat se pesh aate haiñ
zarf apnā hai ham adū se bhī
kuchh suhūlat se pesh aate haiñ
jo bhī miltā hai un ke kūche kā
ham aqīdat se pesh aate haiñ
saath mushkil meñ chhoḌne vaale
ab nadāmat se pesh aate haiñ
aise logoñ se duur rahtā huuñ
jo zarūrat se pesh aate haiñ
ye tire shahr ke makīñ 'shāfī'
kyuuñ hiqārat se pesh aate haiñ
ain fitrat se pesh aate hain
yani chahat se pesh aate hain
zarf apna hai hum adu se bhi
kuchh suhulat se pesh aate hain
jo bhi milta hai un ke kuche ka
hum aqidat se pesh aate hain
sath mushkil mein chhoDne wale
ab nadamat se pesh aate hain
aise logon se dur rahta hun
jo zarurat se pesh aate hain
ye tere shahr ke makin 'shafi'
kyun hiqarat se pesh aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.