aisa aalam ka KHugar nahin dekha humne
aisā ālām kā ḳhūgar nahīñ dekhā ham ne
dil tire jaisā shanāvar nahīñ dekhā ham ne
kin parindoñ ke ta'āqub kā thā nashsha ham par
dasht-o-sahrā se kabhī ghar nahīñ dekhā ham ne
ḳhār-zāroñ se marāsim ke sabab phūloñ ko
dil ne chāhā bhī to ruk kar nahīñ dekhā ham ne
qasd-e-derīna tirī be-sar-o-pā.ī kī qasam
raah meñ miil kā patthar nahīñ dekhā ham ne
aisa aalam ka KHugar nahin dekha hum ne
dil tere jaisa shanawar nahin dekha hum ne
kin parindon ke ta'aqub ka tha nashsha hum par
dasht-o-sahra se kabhi ghar nahin dekha hum ne
KHar-zaron se marasim ke sabab phulon ko
dil ne chaha bhi to ruk kar nahin dekha hum ne
qasd-e-derina teri be-sar-o-pai ki qasam
rah mein mil ka patthar nahin dekha hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.