aisa bhi kya hua hai mere ghar ke samne
aisā bhī kyā huā hai mire ghar ke sāmne
har koī aa khaḌā hai mire ghar ke sāmne
ye kaun shaḳhs hai jo dukhoñ se ladhī huī
gaaḌī lagā gayā hai mire ghar ke sāmne
ik to mujhe bhī pīne-pilāne kā shauq hai
us par ye mai-kada hai mire ghar ke sāmne
kyā soch kar maiñ niklūñ Tahalne ba-vaqt-e-shām
jangal bahut ghanā hai mire ghar ke sāmne
mere nasīb meñ hī nahīñ dekhnā use
yuuñ to vo rah rahā hai mire ghar ke sāmne
fursat mile to ek mulāqāt kījiye
mahfūz ik jagah hai mire ghar ke sāmne
ḳhairāt de to dī hai tujhe ai bhikāriyo
ab kis liye rukā hai mire ghar ke sāmne
'jāved' chal ke dekh kahīñ ḳhud tū hī nahīñ
ye jo marā paḌā hai mire ghar ke sāmne
aisa bhi kya hua hai mere ghar ke samne
har koi aa khaDa hai mere ghar ke samne
ye kaun shaKHs hai jo dukhon se ladhi hui
gaDi laga gaya hai mere ghar ke samne
ek to mujhe bhi pine-pilane ka shauq hai
us par ye mai-kada hai mere ghar ke samne
kya soch kar main niklun Tahalne ba-waqt-e-sham
jangal bahut ghana hai mere ghar ke samne
mere nasib mein hi nahin dekhna use
yun to wo rah raha hai mere ghar ke samne
fursat mile to ek mulaqat kijiye
mahfuz ek jagah hai mere ghar ke samne
KHairaat de to di hai tujhe ai bhikariyo
ab kis liye ruka hai mere ghar ke samne
'jawed' chal ke dekh kahin KHud tu hi nahin
ye jo mara paDa hai mere ghar ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.