aisa bhi tez nashtar-e-na-mehrban na tha
aisā bhī tez nashtar-e-nā-mehrbāñ na thā
yuuñ zaḳhm-zaḳhm chehra-e-uftād-gāñ na thā
vo pyaas thī ki halq se bāhar thī har zabāñ
aur duur tak kahīñ koī dariyā ravāñ na thā
dastak pe ab gharoñ se koī boltā nahīñ
pahle ye shahr shahr-e-'adam-raftagāñ na thā
ab ke the kār-zār meñ sab āshnā harīf
lekin vo ḳhush-qatīl ki shikva-kunāñ na thā
ḳhāmosh sā'atoñ meñ thī raushan tirī sadā
Thahrā huā thā vaqt magar rā.egāñ na thā
bārān-e-tez meñ bhī rahe āshiyāna-soz
sahn-e-chaman meñ ham sā koī tafta-jāñ na thā
aisa bhi tez nashtar-e-na-mehrban na tha
yun zaKHm-zaKHm chehra-e-uftad-gan na tha
wo pyas thi ki halq se bahar thi har zaban
aur dur tak kahin koi dariya rawan na tha
dastak pe ab gharon se koi bolta nahin
pahle ye shahr shahr-e-'adam-raftagan na tha
ab ke the kar-zar mein sab aashna harif
lekin wo KHush-qatil ki shikwa-kunan na tha
KHamosh sa'aton mein thi raushan teri sada
Thahra hua tha waqt magar raegan na tha
baran-e-tez mein bhi rahe aashiyana-soz
sahn-e-chaman mein hum sa koi tafta-jaan na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.