aisa bhi zindagi mein hua hai kabhi kabhi
aisā bhī zindagī meñ huā hai kabhī kabhī
dushman ko dost kahnā paḌā hai kabhī kabhī
guzrā hai rāhbar pe gumāñ rāhzan kā bhī
rahzan bhī rahnumā sā lagā hai kabhī kabhī
ye jānte hue bhī ki hogī usī kī haar
māhaul se vo shaḳhs laḌā hai kabhī kabhī
logoñ ko jis kī rāh-numā.ī pe naaz thā
apnī bhī raah bhuul gayā hai kabhī kabhī
us se to duur kā bhī koī vāsta na thā
kyoñ us ne apnā saath diyā hai kabhī kabhī
jin hādsoñ se jaan ke jaane kā ḳhauf thā
jīvan nayā unhīñ se milā hai kabhī kabhī
kamzor dil huuñ maiñ na tavahhum-parast huuñ
Dar apne saa.e se bhī lagā hai kabhī kabhī
aisa bhi zindagi mein hua hai kabhi kabhi
dushman ko dost kahna paDa hai kabhi kabhi
guzra hai rahbar pe guman rahzan ka bhi
rahzan bhi rahnuma sa laga hai kabhi kabhi
ye jaante hue bhi ki hogi usi ki haar
mahaul se wo shaKHs laDa hai kabhi kabhi
logon ko jis ki rah-numai pe naz tha
apni bhi rah bhul gaya hai kabhi kabhi
us se to dur ka bhi koi wasta na tha
kyon us ne apna sath diya hai kabhi kabhi
jin hadson se jaan ke jaane ka KHauf tha
jiwan naya unhin se mila hai kabhi kabhi
kamzor dil hun main na tawahhum-parast hun
Dar apne sae se bhi laga hai kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.