aisa chehra mere bhi dhyan mein tha
aisā chehra mire bhī dhyān meñ thā
jo zamīñ meñ na āsmān meñ thā
dil to ḳhālī paḌā thā sadiyoñ se
ek saaya mire makān meñ thā
mujh meñ shāmil thā vo lahū kī tarah
aañkh meñ dil meñ aur jaan meñ thā
naam kyā thā jo itnā shīrīñ thā
zā.iqa ab bhī is zabān meñ thā
dhund phailī huī thī chāroñ taraf
shor hī shor is jahān meñ thā
vo jo rahtā thā saath shām-o-sahar
is zamāñ meñ na us zamān meñ thā
merī āñkhoñ ne jo bhī dekhā thā
sher meñ nazm meñ bayān meñ thā
maiñ bhī apnī anā meñ qaid rahī
vo bhī kuchh apnī aan baan meñ thā
aisa chehra mere bhi dhyan mein tha
jo zamin mein na aasman mein tha
dil to KHali paDa tha sadiyon se
ek saya mere makan mein tha
mujh mein shamil tha wo lahu ki tarah
aankh mein dil mein aur jaan mein tha
nam kya tha jo itna shirin tha
zaiqa ab bhi is zaban mein tha
dhund phaili hui thi chaaron taraf
shor hi shor is jahan mein tha
wo jo rahta tha sath sham-o-sahar
is zaman mein na us zaman mein tha
meri aankhon ne jo bhi dekha tha
sher mein nazm mein bayan mein tha
main bhi apni ana mein qaid rahi
wo bhi kuchh apni aan ban mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.