aisa dikha hai hum ko nazara kai dafa
aisā dikhā hai ham ko nazāra ka.ī dafa
us ne kiyā hai ham se kināra ka.ī dafa
har baar mushkiloñ ne satāyā mujhe magar
maañ ne diyā hai mujh ko sahārā ka.ī dafa
ek baar maar dete to qissa tamām thā
par us ne mujh ko hijr meñ maarā ka.ī dafa
ik baar bhī palaT ke na dekhā mirī taraf
chillā ke ham ne un ko pukārā ka.ī dafa
ik baar dekhne se kahāñ bhar rahā hai dil
un se kaho ki dekheñ dobāra ka.ī dafa
aañsū firāq dard-e-jigar be-qarāriyāñ
un ke liye kiye haiñ gavārā ka.ī dafa
'haidar' kī zindagī ko mayassar sahar nahīñ
hone ko ho rahā hai saverā ka.ī dafa
aisa dikha hai hum ko nazara kai dafa
us ne kiya hai hum se kinara kai dafa
har bar mushkilon ne sataya mujhe magar
man ne diya hai mujh ko sahaara kai dafa
ek bar mar dete to qissa tamam tha
par us ne mujh ko hijr mein mara kai dafa
ek bar bhi palaT ke na dekha meri taraf
chilla ke hum ne un ko pukara kai dafa
ek bar dekhne se kahan bhar raha hai dil
un se kaho ki dekhen dobara kai dafa
aansu firaq dard-e-jigar be-qarariyan
un ke liye kiye hain gawara kai dafa
'haidar' ki zindagi ko mayassar sahar nahin
hone ko ho raha hai sawera kai dafa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.