aisa hai dil pe dagh ki jo dhul nahin raha
aisā hai dil pe daaġh ki jo dhul nahīñ rahā
muñh meñ hamāre zahr hai par ghul nahīñ rahā
ham ko hamīñ se kar ke judā chal diyā koī
vo kaun thā ye raaz abhī khul nahīñ rahā
mahsūs ab huā hai ki kitnā hai fāsla
jab se hamāre biich koī pul nahīñ rahā
dañgoñ kī aag ne to nahīñ farq kuchh kiyā
girdhar nahīñ bachā vahāñ abdul nahīñ rahā
aisa hai dil pe dagh ki jo dhul nahin raha
munh mein hamare zahr hai par ghul nahin raha
hum ko hamin se kar ke juda chal diya koi
wo kaun tha ye raaz abhi khul nahin raha
mahsus ab hua hai ki kitna hai fasla
jab se hamare bich koi pul nahin raha
dangon ki aag ne to nahin farq kuchh kiya
girdhar nahin bacha wahan abdul nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.