aisa hai kahan koi hasil hai sukun jis ko
aisa hai kahan koi hasil hai sukun jis ko
Syed Ghayasuddin Saleem
MORE BYSyed Ghayasuddin Saleem
aisā hai kahāñ koī hāsil hai sukūñ jis ko
lekin vo jise terā dīdār mayassar hai
sab kī hai nazar un par mar.ūb haiñ sab un se
ummīd hai allah se allah kā jinheñ Dar hai
kyā ḳhauf jahannum kā firdaus kī lālach kyā
kyā ahl-e-mohabbat kā andāz hai tevar hai
hoñToñ pe ḳhamoshī hai nazreñ haiñ jhukī phir bhī
iz.hār-e-tamannā kā ilzām mire sar hai
hai pās-e-razā mujh ko phir arz karūñ kyūñkar
mālūm 'salīm' us ko hāl-e-dil-e-muztar hai
aisa hai kahan koi hasil hai sukun jis ko
lekin wo jise tera didar mayassar hai
sab ki hai nazar un par marub hain sab un se
ummid hai allah se allah ka jinhen Dar hai
kya KHauf jahannum ka firdaus ki lalach kya
kya ahl-e-mohabbat ka andaz hai tewar hai
honTon pe KHamoshi hai nazren hain jhuki phir bhi
izhaar-e-tamanna ka ilzam mere sar hai
hai pas-e-raza mujh ko phir arz karun kyunkar
malum 'salim' us ko haal-e-dil-e-muztar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.