aisa hai tere pyar ka saya
aisā hai tere pyaar kā saaya
jaise fasl-e-bahār kā saaya
un ke aane kī hai ḳhabar detā
kārvāñ ke ġhubār kā saaya
be-sabab to nahīñ hai āñkhoñ par
dekhiye ye ḳhumār kā saaya
us ko jannat se kam nahīñ duniyā
jis pe hai maañ ke pyaar kā saaya
mujh ko jiine de aur na marne de
ye tire intizār kā saaya
kyā bigāḌegā ye jahāñ apnā
sar pe hai kirdgār kā saaya
aaj kyoñ uTh gayā zamāne se
ai 'razā' e'tibār kā saaya
aisa hai tere pyar ka saya
jaise fasl-e-bahaar ka saya
un ke aane ki hai KHabar deta
karwan ke ghubar ka saya
be-sabab to nahin hai aankhon par
dekhiye ye KHumar ka saya
us ko jannat se kam nahin duniya
jis pe hai man ke pyar ka saya
mujh ko jine de aur na marne de
ye tere intizar ka saya
kya bigaDega ye jahan apna
sar pe hai kirdgar ka saya
aaj kyon uTh gaya zamane se
ai 'raza' e'tibar ka saya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.