aisa hoga waisa hoga
aisā hogā vaisā hogā
kyā jānūñ maiñ kaisā hogā
mere sāmne baiTh ke ro le
merā ġham bhī halkā hogā
tū jo hañsnā bhuul gayā hai
terā dil bhī TuuTā hogā
ham donoñ meñ rishta kyā hai
jag meñ us kā charchā hogā
tū pardesī tū kyā jaane
maiñ ne kyā kyā sochā hogā
vo hai maiñ huuñ tanhā.ī hai
kaun bhalā yuuñ tanhā hogā
aisa hoga waisa hoga
kya jaanun main kaisa hoga
mere samne baiTh ke ro le
mera gham bhi halka hoga
tu jo hansna bhul gaya hai
tera dil bhi TuTa hoga
hum donon mein rishta kya hai
jag mein us ka charcha hoga
tu pardesi tu kya jaane
main ne kya kya socha hoga
wo hai main hun tanhai hai
kaun bhala yun tanha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.