aisa hua hai yar mere imtihan se KHush
aisā huā hai yaar mire imtihāñ se ḳhush
bulbul ho jaise vasl-e-gul-e-bostāñ se ḳhush
gūñgī se kyā hai lutf-e-mulāqāt hazz-e-nafs
vo ḳhud hī jānvar haiñ jo haiñ be-zabāñ se ḳhush
ustād bhī haiñ yaar bhī haiñ bā-mazāq bhī
kyūñkar na dil ho shaiḳh mohammad zamāñ se ḳhush
ai maamā chhed bhed kuchh is meñ zarūr hai
biibī se tū ḳhafā hai magar hai miyāñ se ḳhush
be-uzr haiñ kabhī unheñ inkār hī nahīñ
har baat meñ vo rakhte haiñ āshiq ko haañ se ḳhush
is baat kā hai ham ko 'ināyat' bahut ḳhayāl
nā-ḳhush vo ik zamāne se haiñ kaale ḳhaañ se ḳhush
aisa hua hai yar mere imtihan se KHush
bulbul ho jaise wasl-e-gul-e-bostan se KHush
gungi se kya hai lutf-e-mulaqat hazz-e-nafs
wo KHud hi jaanwar hain jo hain be-zaban se KHush
ustad bhi hain yar bhi hain ba-mazaq bhi
kyunkar na dil ho shaiKH mohammad zaman se KHush
ai mama chhed bhed kuchh is mein zarur hai
bibi se tu KHafa hai magar hai miyan se KHush
be-uzr hain kabhi unhen inkar hi nahin
har baat mein wo rakhte hain aashiq ko han se KHush
is baat ka hai hum ko 'inayat' bahut KHayal
na-KHush wo ek zamane se hain kale KHan se KHush
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.