aisa hunar bhi paya hai usne zindagi se
aisā hunar bhī paayā hai us ne zindagī se
chāñdī nikāl laayā vo shaḳhs shā.erī se
maiñ bhī pighal ke āḳhir ko nuur ban gayā huuñ
itne diye jale haiñ sūraj kī raushnī se
maiñ chāhne kī had se aage nikal gayā thā
phir laash niklī us kī ik roz pālkī se
tasvīr zehn meñ ik sailāb kī basī hai
so saat feet uupar hai ghar mirā sabhī se
dil meñ safar kareñge duniyā meñ āḳhirī tak
vo giit pyaar ke jo gaa.e haiñ bāñsurī se
āvāz gūñjtī in galiyoñ meñ rah ga.ī hai
rishta banā hai merā ye shahr-e-ḳhāmushī se
phir lutf dushmanī meñ aane lagā hai mujh ko
ḳheme badalte dekhe jab dost dostī se
un ko sameT kar vo dariyā meñ le gayā hai
mehnat se maiñ ne joḌe jo jharne sab nadī se
maiñ kah rahā huuñ 'sayyad' manzar rulā.enge ye
jin ko banā rahā hai tū itnī sādgī se
aisa hunar bhi paya hai us ne zindagi se
chandi nikal laya wo shaKHs shaeri se
main bhi pighal ke aaKHir ko nur ban gaya hun
itne diye jale hain suraj ki raushni se
main chahne ki had se aage nikal gaya tha
phir lash nikli us ki ek roz palki se
taswir zehn mein ek sailab ki basi hai
so sat feet upar hai ghar mera sabhi se
dil mein safar karenge duniya mein aaKHiri tak
wo git pyar ke jo gae hain bansuri se
aawaz gunjti in galiyon mein rah gai hai
rishta bana hai mera ye shahr-e-KHamushi se
phir lutf dushmani mein aane laga hai mujh ko
KHeme badalte dekhe jab dost dosti se
un ko sameT kar wo dariya mein le gaya hai
mehnat se main ne joDe jo jharne sab nadi se
main kah raha hun 'sayyad' manzar rulaenge ye
jin ko bana raha hai tu itni sadgi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.