aisa jadu kiya baat hi baat mein
aisā jaadū kiyā baat hī baat meñ
niiñd aatī nahīñ ab mujhe raat meñ
kaun shā.ir tire husn kī aañch ko
Dhaal paayā kabhī apne naġhmāt meñ
bhīnī bhīnī vo ḳhushbū tire zulf kī
aa hī jaatī hai mere ḳhayālāt meñ
koī shā.ir nahīñ bas tujhe dekh kar
lahr uThne lagī mere jazbāt meñ
tū nahīñ to shafaq meñ bhī surḳhī nahīñ
phuul bhī ho ga.e zard bāġhāt meñ
tere 'maqsūd' kī hai ye hasrat faqat
dekh le tujh ko ruḳhsat ke lamhāt meñ
aisa jadu kiya baat hi baat mein
nind aati nahin ab mujhe raat mein
kaun shair tere husn ki aanch ko
Dhaal paya kabhi apne naghmat mein
bhini bhini wo KHushbu tere zulf ki
aa hi jati hai mere KHayalat mein
koi shair nahin bas tujhe dekh kar
lahr uThne lagi mere jazbaat mein
tu nahin to shafaq mein bhi surKHi nahin
phul bhi ho gae zard baghat mein
tere 'maqsud' ki hai ye hasrat faqat
dekh le tujh ko ruKHsat ke lamhat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.