aisa kuchh mujhko paDha phir mujhe paDhna na paDe
aisā kuchh mujh ko paḌhā phir mujhe paḌhnā na paḌe
mujh se kuchh aisā karā kuchh kabhī karnā na paḌe
paañv rakkhūñ maiñ jahāñ bhī vo zamīñ ho merī
ajnabī rāhoñ pe yārab mujhe chalnā na paḌe
log mar jaate haiñ jiine kī tamannā le kar
zinda rahne kī jo ḳhvāhish ho to marnā na paḌe
chāñd ho aur na zamīñ ho na sitāre na falak
mujh ko is shahr meñ yārab kabhī rahnā na paḌe
terī chaukhaT pe jo aa.uuñ maiñ ziyārat ke liye
mere maulā mujhe phir girnā sambhalnā na paḌe
aisa kuchh mujh ko paDha phir mujhe paDhna na paDe
mujh se kuchh aisa kara kuchh kabhi karna na paDe
panw rakkhun main jahan bhi wo zamin ho meri
ajnabi rahon pe yarab mujhe chalna na paDe
log mar jate hain jine ki tamanna le kar
zinda rahne ki jo KHwahish ho to marna na paDe
chand ho aur na zamin ho na sitare na falak
mujh ko is shahr mein yarab kabhi rahna na paDe
teri chaukhaT pe jo aaun main ziyarat ke liye
mere maula mujhe phir girna sambhalna na paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.