aisa lamha udhaar de koi
aisā lamha udhār de koī
jis meñ sadiyāñ guzār de koī
baad muddat ke ḳhat likhe vo mujhe
aur kabūtar ko maar de koī
ye jo sardār ban ke baiThā hai
us kī pagḌī utaar de koī
mast rakkhe jo hosh meñ bhī mujhe
ab to aisā ḳhumār de koī
kyā ḳhabar hādsātī duniyā meñ
kab kahāñ mujh ko maar de koī
ek va.ada ki jis ke saa.e meñ
umr saarī guzār de koī
dasht ko ghar banā ke baiThā huuñ
is ko aa kar sañvār de koī
aisa lamha udhaar de koi
jis mein sadiyan guzar de koi
baad muddat ke KHat likhe wo mujhe
aur kabutar ko mar de koi
ye jo sardar ban ke baiTha hai
us ki pagDi utar de koi
mast rakkhe jo hosh mein bhi mujhe
ab to aisa KHumar de koi
kya KHabar hadsati duniya mein
kab kahan mujh ko mar de koi
ek wada ki jis ke sae mein
umr sari guzar de koi
dasht ko ghar bana ke baiTha hun
is ko aa kar sanwar de koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.