aisa mahsus hua hai tere inam ke baad
aisā mahsūs huā hai tire in'ām ke baa'd
jaise mazdūr ko mazdūrī mile kaam ke baa'd
ye mohabbat kā safar aisā safar hotā hai
jis meñ mahsūs thakan hotī hai ārām ke baa'd
mere bistar pe mirī laash paḌī rahtī hai
apne paikar se nikal jaatā huuñ maiñ shaam ke baa'd
guftugū ḳhatm isī vāste kar dī maiñ ne
kaun sā naam liyā jaatā tire naam ke baa'd
zī-shu'ūr us meñ kahāñ ahl-e-junūñ jīt.te haiñ
ibtidā hotī hai jis khel kī anjām ke baa'd
aisa mahsus hua hai tere in'am ke ba'd
jaise mazdur ko mazduri mile kaam ke ba'd
ye mohabbat ka safar aisa safar hota hai
jis mein mahsus thakan hoti hai aaram ke ba'd
mere bistar pe meri lash paDi rahti hai
apne paikar se nikal jata hun main sham ke ba'd
guftugu KHatm isi waste kar di main ne
kaun sa nam liya jata tere nam ke ba'd
zi-shu'ur us mein kahan ahl-e-junun jitte hain
ibtida hoti hai jis khel ki anjam ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.