Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa mahsus kar raha hun main

Shareef Munawwar

aisa mahsus kar raha hun main

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1967

    aisā mahsūs kar rahā huuñ maiñ

    jaise is shahr meñ nayā huuñ maiñ

    apnī ḳhushbū se ḳhauf aatā hai

    kin havāoñ meñ ghir gayā huuñ maiñ

    terī kuchh aur baat hai varna

    saath apne bhī kam rahā huuñ maiñ

    ḳhāl-o-ḳhad pe na apne ġhaur karo

    mujh se rūTho ki aa.ina huuñ maiñ

    uf ye kaif-e-fasāna-hā-e-junūñ

    likh rahā huuñ miTā rahā huuñ maiñ

    koī mausam ho ab mujhe kyā fikr

    barg huuñ shāḳh se judā huuñ maiñ

    huuñ 'munavvar' burā to maiñ lekin

    kaun jaane ki kyuuñ burā huuñ maiñ

    aisa mahsus kar raha hun main

    jaise is shahr mein naya hun main

    apni KHushbu se KHauf aata hai

    kin hawaon mein ghir gaya hun main

    teri kuchh aur baat hai warna

    sath apne bhi kam raha hun main

    KHal-o-KHad pe na apne ghaur karo

    mujh se ruTho ki aaina hun main

    uf ye kaif-e-fasana-ha-e-junun

    likh raha hun miTa raha hun main

    koi mausam ho ab mujhe kya fikr

    barg hun shaKH se juda hun main

    hun 'munawwar' bura to main lekin

    kaun jaane ki kyun bura hun main

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now